kaam aaya mere KHub tah-e-ab ko chhuna
kaam aayā mire ḳhuub tah-e-āb ko chhūnā
miltā hai kise gauhar-e-nāyāb ko chhūnā
laatī hai mujhe vajd meñ ye gardish-e-aflāk
laatā hai mujhe raqs meñ girdāb ko chhūnā
baḌhtī hai talab 'ishq meñ dīdār ho jitnā
kartā hai fuzūñ pyaas yahāñ aab ko chhūnā
kyā chiiz taḌap hai dil-e-muztar se na pūchho
jānoge kabhī pāra-e-betāb ko chhūnā
shab hote hī ban jaatī huuñ maiñ nuur kā mamba'
raas aa gayā mujh ko kisī mahtāb ko chhūnā
ik lams tirā zindagī phūñke mire tan meñ
chhūnā zarā is māhī-e-be-āb ko chhūnā
ye ḳhvāb haqīqat hai yaqīñ aa.egā mujh ko
āñkhoñ meñ utar kar mire is ḳhvāb ko chhūnā
ristā hai lahū kab se zarā sī ho tavajjoh
is zaḳhm-e-jigar dīda-e-ḳhūñ-nāb ko chhūnā
'nasrīn' milā jab se vo ik lams mulā.im
bhātā hī nahīñ atlas-o-kamḳhvāb ko chhūnā
kaam aaya mere KHub tah-e-ab ko chhuna
milta hai kise gauhar-e-nayab ko chhuna
lati hai mujhe wajd mein ye gardish-e-aflak
lata hai mujhe raqs mein girdab ko chhuna
baDhti hai talab 'ishq mein didar ho jitna
karta hai fuzun pyas yahan aab ko chhuna
kya chiz taDap hai dil-e-muztar se na puchho
jaanoge kabhi para-e-betab ko chhuna
shab hote hi ban jati hun main nur ka mamba'
ras aa gaya mujh ko kisi mahtab ko chhuna
ek lams tera zindagi phunke mere tan mein
chhuna zara is mahi-e-be-ab ko chhuna
ye KHwab haqiqat hai yaqin aaega mujh ko
aankhon mein utar kar mere is KHwab ko chhuna
rista hai lahu kab se zara si ho tawajjoh
is zaKHm-e-jigar dida-e-KHun-nab ko chhuna
'nasrin' mila jab se wo ek lams mulaim
bhata hi nahin atlas-o-kamKHwab ko chhuna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.