kaam achchhe bure anjam diye hain maine
kaam achchhe bure anjām diye haiñ maiñ ne
aur phir yaar ko ilzām diye haiñ maiñ ne
vo jo tujh tak kabhī pahuñchīñ na pahuñch pā.eñgī
un havāoñ ko bhī paiġhām diye haiñ maiñ ne
āj-kal is ko mohabbat bhī kahā jaatā hai
apnī vahshat ko ka.ī naam diye haiñ maiñ ne
log apnī hī kahānī na samajh leñ is ko
so havāle sabhī gumnām diye haiñ maiñ ne
yaar 'tarkash' tū mire sāmne ab saadh na ban
apne hāthoñ se tujhe jaam diye haiñ maiñ ne
kaam achchhe bure anjam diye hain main ne
aur phir yar ko ilzam diye hain main ne
wo jo tujh tak kabhi pahunchin na pahunch paengi
un hawaon ko bhi paigham diye hain main ne
aaj-kal is ko mohabbat bhi kaha jata hai
apni wahshat ko kai nam diye hain main ne
log apni hi kahani na samajh len is ko
so hawale sabhi gumnam diye hain main ne
yar 'tarkash' tu mere samne ab sadh na ban
apne hathon se tujhe jam diye hain main ne
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 35)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.