kaam anjam diye sab se nirale humne
kaam anjām diye sab se nirāle ham ne
mom se hāthoñ meñ angāre uchhāle ham ne
ek din bhuuk ne ġhurbat kā tamāsha dekhā
ek din paanī meñ patthar jo ubāle ham ne
ham ne ḳhud se bhī ġhulāmoñ sā ravayya rakhā
shāhzādī tire ahkām na Taale ham ne
dil ko mahfūz kiyā vahshat-o-vīrānī se
ḳhud haTā.e haiñ tirī yaad ke jaale ham ne
ham se saa.il kī musībat nahīñ dekhī jaatī
bhiik meñ de diye sūraj ko ujāle ham ne
baañT dī un ke tavassul se hī ḳhāroñ ko ġhizā
kaam meñ le hī liye paañv ke chhāle ham ne
haath phailā.e nahīñ ġhair ke darvāze par
tujh se ummīd rakhī pālne vaale ham ne
kaam anjam diye sab se nirale hum ne
mom se hathon mein angare uchhaale hum ne
ek din bhuk ne ghurbat ka tamasha dekha
ek din pani mein patthar jo ubaale hum ne
hum ne KHud se bhi ghulamon sa rawayya rakha
shahzadi tere ahkaam na Tale hum ne
dil ko mahfuz kiya wahshat-o-virani se
KHud haTae hain teri yaad ke jale hum ne
hum se sail ki musibat nahin dekhi jati
bhik mein de diye suraj ko ujale hum ne
banT di un ke tawassul se hi KHaron ko ghiza
kaam mein le hi liye panw ke chhaale hum ne
hath phailae nahin ghair ke darwaze par
tujh se ummid rakhi palne wale hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.