aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaam har zaKHm ne marham ka kiya ho jaise

Abu Mohammad Sahar

kaam har zaKHm ne marham ka kiya ho jaise

Abu Mohammad Sahar

MORE BYAbu Mohammad Sahar

    kaam har zaḳhm ne marham kiyā ho jaise

    ab kisī se koī shikva na gilā ho jaise

    umr-bhar ishq ko ġham-dīda na rakkhe kyūñkar

    hādisa vo ki abhī kal huā ho jaise

    ek muddat huī dekhā thā jise pahle-pahal

    tere chehre meñ vahī chehra chhupā ho jaise

    husn ke bhed lenā nahīñ hai āsāñ

    hai ye vo raaz ki rāzoñ meñ palā ho jaise

    duur tak ek nigah ke Thahar jaatī hai

    vaqt fāsla kuchh DhūñD rahā ho jaise

    yād-e-māzī se ye afsurda raunaq dil meñ

    āḳhir-e-shab koī darvāza khulā ho jaise

    hazl ko log 'sahar' aaj ġhazal kahte haiñ

    zauq-e-sherī pe burā vaqt paḌā ho jaise

    kaam har zaKHm ne marham ka kiya ho jaise

    ab kisi se koi shikwa na gila ho jaise

    umr-bhar ishq ko gham-dida na rakkhe kyunkar

    hadisa wo ki abhi kal hi hua ho jaise

    ek muddat hui dekha tha jise pahle-pahal

    tere chehre mein wahi chehra chhupa ho jaise

    husn ke bhed ka pa lena nahin hai aasan

    hai ye wo raaz ki raazon mein pala ho jaise

    dur tak ek nigah ja ke Thahar jati hai

    waqt ka fasla kuchh DhunD raha ho jaise

    yaad-e-mazi se ye afsurda si raunaq dil mein

    aaKHir-e-shab koi darwaza khula ho jaise

    hazl ko log 'sahar' aaj ghazal kahte hain

    zauq-e-sheri pe bura waqt paDa ho jaise

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 331)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now