kaam kuchh bhi nahin tha karne ko
kaam kuchh bhī nahīñ thā karne ko
ham ko bhejā gayā hai marne ko
tum jo simTe hue se rahte ho
yā'nī betāb ho bikharne ko
aa.ina dekhte nahīñ apnā
aur aa jaate haiñ sañvarne ko
jis ko dariyā meñ mauj aane lage
vo kahāñ chāhe paar utarne ko
ham ne bhī 'ishq yuuñ qubūl kiyā
ek ilzām sar pe dharne ko
na vo izn-e-safar hī detā hai
na mujhe kahtā hai Thaharne ko
merī sochoñ meñ she'r kī bābat
shakl sī hai koī ubharne ko
kaam kuchh bhi nahin tha karne ko
hum ko bheja gaya hai marne ko
tum jo simTe hue se rahte ho
ya'ni betab ho bikharne ko
aaina dekhte nahin apna
aur aa jate hain sanwarne ko
jis ko dariya mein mauj aane lage
wo kahan chahe par utarne ko
hum ne bhi 'ishq yun qubul kiya
ek ilzam sar pe dharne ko
na wo izn-e-safar hi deta hai
na mujhe kahta hai Thaharne ko
meri sochon mein she'r ki babat
shakl si hai koi ubharne ko
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 65)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.