kaam kuchh dil ka bhi ab karna paDega sain
kaam kuchh dil kā bhī ab karnā paḌegā sā.īñ
varna be-maut hameñ marnā paḌegā sā.īñ
apne hisse kī adākārī se muñh mat phero
vo Darā.eñge tumheñ Darnā paḌegā sā.īñ
log to ā.eñge dekheñge chale jā.eñge
zaḳhm to aap hī ko bharnā paḌegā sā.īñ
tum guzar jāoge phir hosh ke darvāze se
raah meñ ashkoñ kā ik jharnā paḌegā sā.īñ
jab vo kahte haiñ ki mar jaao to zinda kyoñ ho
un kā chāhā huā sab karnā paḌegā sā.īñ
kaam kuchh dil ka bhi ab karna paDega sain
warna be-maut hamein marna paDega sain
apne hisse ki adakari se munh mat phero
wo Daraenge tumhein Darna paDega sain
log to aaenge dekhenge chale jaenge
zaKHm to aap hi ko bharna paDega sain
tum guzar jaoge phir hosh ke darwaze se
rah mein ashkon ka ek jharna paDega sain
jab wo kahte hain ki mar jao to zinda kyon ho
un ka chaha hua sab karna paDega sain
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 101)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.