kaam kuchh KHubi-e-kirdar hi aa jati hai
kaam kuchh ḳhūbī-e-kirdār hī aa jaatī hai
sar bachāne mirā dastār hī aa jaatī hai
log ab dhuup kī dastak pe kahāñ jāgte haiñ
sub.h is shahr meñ bekār hī aa jaatī hai
maiñ kabhī raat kā anjām nahīñ dekh sakā
niiñd is khel meñ har baar hī aa jaatī hai
kahīñ jaane nahīñ detī mujhe vahshat merī
mujh se Takrāne ko dīvār hī aa jaatī hai
itnī āsānī se mujh tak nahīñ aatā koī
ek bas sā'at-e-dushvār hī aa jaatī hai
maiñ kabhī vaqt ke hamrāh nahīñ chal paayā
mere aaḌe mirī raftār hī aa jaatī hai
kaam kuchh KHubi-e-kirdar hi aa jati hai
sar bachane mera dastar hi aa jati hai
log ab dhup ki dastak pe kahan jagte hain
subh is shahr mein bekar hi aa jati hai
main kabhi raat ka anjam nahin dekh saka
nind is khel mein har bar hi aa jati hai
kahin jaane nahin deti mujhe wahshat meri
mujh se Takrane ko diwar hi aa jati hai
itni aasani se mujh tak nahin aata koi
ek bas sa'at-e-dushwar hi aa jati hai
main kabhi waqt ke hamrah nahin chal paya
mere aaDe meri raftar hi aa jati hai
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 97)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.