kaam uljha hua ho jata hai aasan mera
kaam uljhā huā ho jaatā hai āsān mirā
pakḌā jaatā hai kahīñ jaatā huā dhyān mirā
jis samay sar mirā aflāk se Takrāyā thā
ḳhaak par paañv paḌā thā usī daurān mirā
tujh tak aayā huuñ 'ajab be-sar-o-sāmānī meñ
rāste meñ kahīñ badlā gayā sāmān mirā
tere bāzāroñ meñ hotā huuñ to yuuñ hotā huuñ
varna itnā bhī tamāsha nahīñ āsān mirā
kuchh bhī sābit nahīñ hotā na huzūrī na ġhayāb
aa.e din aayā hī rah jaatā hai tūfān mirā
duur sīnoñ se guzartī huī miTTī kī lakīr
yahāñ qaabū meñ nahīñ ḳhatt-e-bayābān mirā
kaam uljha hua ho jata hai aasan mera
pakDa jata hai kahin jata hua dhyan mera
jis samay sar mera aflak se Takraya tha
KHak par panw paDa tha usi dauran mera
tujh tak aaya hun 'ajab be-sar-o-samani mein
raste mein kahin badla gaya saman mera
tere bazaron mein hota hun to yun hota hun
warna itna bhi tamasha nahin aasan mera
kuchh bhi sabit nahin hota na huzuri na ghayab
aae din aaya hi rah jata hai tufan mera
dur sinon se guzarti hui miTTi ki lakir
yahan qabu mein nahin KHatt-e-bayaban mera
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 114)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.