Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kash ki jo pahchana hota apnon ko beganon ko

Muntazir Firozabadi

kash ki jo pahchana hota apnon ko beganon ko

Muntazir Firozabadi

MORE BYMuntazir Firozabadi

    kaash ki jo pahchānā hotā apnoñ ko begānoñ ko

    ashkoñ se phir thoḌe bharte apne paimānoñ ko

    mere dil ko sab ne samjhā ek kirā.e kamra

    jaane kitne zaḳhm diye the maiñ ne bhī mehmānoñ ko

    phuul nāzuk rishta thā vo ab tum us ko jaane do

    kāñToñ se bhar rakkhā thā ham ne apne gul-dānoñ ko

    saare ghar raunaq thā jo vo bhī ham ko chhoḌ gayā

    kyoñ gaalī dete rahte haiñ kamroñ ko dālānoñ ko

    ab jab aage baḌhnā hai miTTī Dāleñ ḳhatm kareñ

    āḳhir kab tak Dho.eñge ham in pyāre afsānoñ ko

    kashtī jab ho beach safar meñ ishq samundar sahrā kyā

    manzil jānib ab dekho chhoḌo bhī tūfānoñ ko

    tahzībeñ to ye kahtī haiñ vasl ḳhātir zabt karo

    zabt se hotā kyā hāsil maar diyā armānoñ ko

    jannat meñ bhī dozaḳh sog manāte rahte haiñ

    ḳhushiyāñ raas nahīñ ātīñ haiñ ham jaise insānoñ ko

    qatl na hogā tum se merā maiñ apnā dushman huuñ

    aag lagā do bandūqoñ meñ pheñko tīr-kamānoñ ko

    kash ki jo pahchana hota apnon ko beganon ko

    ashkon se phir thoDe hi bharte apne hi paimanon ko

    mere dil ko sab ne samjha ek kirae ka kamra

    jaane kitne zaKHm diye the main ne bhi mehmanon ko

    phul sa nazuk rishta tha wo ab tum us ko jaane do

    kanTon se bhar rakkha tha hum ne apne gul-danon ko

    sare ghar ki raunaq tha jo wo bhi hum ko chhoD gaya

    kyon gali dete rahte hain kamron ko dalanon ko

    ab jab aage hi baDhna hai miTTi Dalen KHatm karen

    aaKHir kab tak Dhoenge hum in pyare afsanon ko

    kashti jab ho beach safar mein ishq samundar sahra kya

    manzil ki jaanib ab dekho chhoDo bhi tufanon ko

    tahziben to ye kahti hain wasl ki KHatir zabt karo

    zabt se hota kya hi hasil mar diya armanon ko

    jannat mein bhi dozaKH ka hi sog manate rahte hain

    KHushiyan ras nahin aatin hain hum jaise insanon ko

    qatl na hoga tum se mera main apna hi dushman hun

    aag laga do banduqon mein phenko tir-kamanon ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now