kaT kar nabz ko bahta hua dariya dekhe
kaaT kar nabz ko bahtā huā dariyā dekhe
'ishq meñ kaise koī ḳhud ko taḌaptā dekhe
vo mujhe chhoḌ ke ġhairoñ se vafā karne lagā
kaun mahbūb ko is tarh badaltā dekhe
kirmak-e-tasht-e-falak tum use jā kar kah do
mujh se gar 'ishq nahīñ to mujhe martā dekhe
ruḳh pe muskān liye dil meñ ġhamoñ kā maskan
yuuñ shab-o-roz mujhe kaun bikhartā dekhe
jis kā dil Tuut gayā us ko milī tanhā.ī
ġham ke māroñ ko bhalā kaun sañvartā dekhe
hāl-e-ġham apnā raqam kar nahīñ saktā nāseh
bas ḳhudā hai jo mire dil ko sisaktā dekhe
zindagī meñ mujhe 'rahbar' sī de shohrat yā-rab
mujh pe hañstā hai jo vo mujh ko bhī hañstā dekhe
kaT kar nabz ko bahta hua dariya dekhe
'ishq mein kaise koi KHud ko taDapta dekhe
wo mujhe chhoD ke ghairon se wafa karne laga
kaun mahbub ko is tarh badalta dekhe
kirmak-e-tasht-e-falak tum use ja kar kah do
mujh se gar 'ishq nahin to mujhe marta dekhe
ruKH pe muskan liye dil mein ghamon ka maskan
yun shab-o-roz mujhe kaun bikharta dekhe
jis ka dil Tut gaya us ko mili tanhai
gham ke maron ko bhala kaun sanwarta dekhe
haal-e-gham apna raqam kar nahin sakta naseh
bas KHuda hai jo mere dil ko sisakta dekhe
zindagi mein mujhe 'rahbar' si de shohrat ya-rab
mujh pe hansta hai jo wo mujh ko bhi hansta dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.