katib-e-taqdir mere haq mein kuchh tahrir ho

Raghib Akhtar

katib-e-taqdir mere haq mein kuchh tahrir ho

Raghib Akhtar

MORE BYRaghib Akhtar

  kātib-e-taqdīr mere haq meñ kuchh tahrīr ho

  ranj ho shādmānī kuchh to dāman-gīr ho

  āb-rūd-e-zīst ke kuchh ghūñT zahrīle bhī hoñ

  maiñ ne kab chāhā thā har qatra mujhe iksīr ho

  ahd-e-āzādī se behtar qaid-e-zindāñ ho to phir

  toḌ dene qafas ko kyuuñ koī tadbīr ho

  tez lahreñ aa jaatī haiñ miTāne ke liye

  jab lab-e-sāhil gharauñdā ret tāmīr ho

  ġham rahe pinhāñ dar o dīvār dil ke darmiyāñ

  kyā zarūrī hai ki karb-e-zīst tash.hīr ho

  katib-e-taqdir mere haq mein kuchh tahrir ho

  ranj ho ya shadmani kuchh to daman-gir ho

  aab-rud-e-zist ke kuchh ghunT zahrile bhi hon

  main ne kab chaha tha har qatra mujhe iksir ho

  ahd-e-azadi se behtar qaid-e-zindan ho to phir

  toD dene ki qafas ko kyun koi tadbir ho

  tez lahren aa hi jati hain miTane ke liye

  jab lab-e-sahil gharaunda ret ka tamir ho

  gham rahe pinhan dar o diwar dil ke darmiyan

  kya zaruri hai ki karb-e-zist ki tashhir ho

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY