aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab ghair hua mahw teri jalwagari ka

Imdad Imam Asar

kab ghair hua mahw teri jalwagari ka

Imdad Imam Asar

MORE BYImdad Imam Asar

    kab ġhair huā mahv tirī jalvagarī

    pūchh mire dil se maza be-ḳhabarī

    saudā jo gul-o-lāla ko hai jeb-darī

    adnā ye shagūfa hai nasīm-e-saharī

    kis ne lab-e-bām aa ke dikhāyā ruḳh-e-raushan

    ḳhurshīd meñ hai rañg charāġh-e-saharī

    apnī ye ġhazal hai ki paristān-e-suḳhan hai

    parvāz-e-mazāmīñ meñ hai andāz parī

    kuchh kam nahīñ nāzuk mire mazmūn-e-kamar se

    shohra hai bajā yaar nāzuk-kamarī

    ik raat bhī ai maah na jaagī mirī qismat

    suntā thā bahut shor duā-e-saharī

    jis ne mujhe āgāh kiyā hāl-e-jahāñ se

    kyā lutf jamādāt ko hai be-ḳhabarī

    ġhurbat meñ milā lutf kahīñ baḌh ke vatan se

    hāsil jo huā tujh se mazā ham-safarī

    us maah mahfil meñ jo hai qahqaha-zan aaj

    hotā hai bat-e-mai pe gumāñ kabk-e-darī

    qur.ān kahe detā hai ki ham haq zabāñ haiñ

    hotā hai judā taur kalām-e-bashrī

    aadam to maañ bhī na thī ai munkir-e-e.ajāz

    iisā ko milā sirf sharaf be-pidrī

    sarv-e-qad-e-dilbar jo tasvīr hai dil par

    ham-sañg nahīñ la.al-e-aqīq-e-shajarī

    āñkheñ haiñ hasīnoñ tire sabza-e-ruḳh par

    kyūñki na ho mailān ġhazāloñ ko charī

    chal bhī 'asar' le ke matā-e-dil-e-betāb

    vo dekhne jaate haiñ tamāshā guzarī

    kab ghair hua mahw teri jalwagari ka

    tu puchh mere dil se maza be-KHabari ka

    sauda jo gul-o-lala ko hai jeb-dari ka

    adna ye shagufa hai nasim-e-sahari ka

    kis ne lab-e-baam aa ke dikhaya ruKH-e-raushan

    KHurshid mein hai rang charagh-e-sahari ka

    apni ye ghazal hai ki paristan-e-suKHan hai

    parwaz-e-mazamin mein hai andaz pari ka

    kuchh kam nahin nazuk mere mazmun-e-kamar se

    shohra hai baja yar ki nazuk-kamari ka

    ek raat bhi ai mah na jagi meri qismat

    sunta tha bahut shor dua-e-sahari ka

    jis ne mujhe aagah kiya haal-e-jahan se

    kya lutf jamadat ko hai be-KHabari ka

    ghurbat mein mila lutf kahin baDh ke watan se

    hasil jo hua tujh se maza ham-safari ka

    us mah ki mahfil mein jo hai qahqaha-zan aaj

    hota hai bat-e-mai pe guman kabk-e-dari ka

    quran kahe deta hai ki hum haq ki zaban hain

    hota hai juda taur kalam-e-bashri ka

    aadam ki to man bhi na thi ai munkir-e-eajaz

    isa ko mila sirf sharaf be-pidri ka

    sarw-e-qad-e-dilbar ki jo taswir hai dil par

    ham-sang nahin lal-e-aqiq-e-shajari ka

    aankhen hain hasinon ki tere sabza-e-ruKH par

    kyunki na ho mailan ghazalon ko chari ka

    chal tu bhi 'asar' le ke mata-e-dil-e-betab

    wo dekhne jate hain tamasha guzari ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now