Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi ham-nawa ki talash hai kabhi ham-safar ki talash hai

Bismil Dehlavi

kabhi ham-nawa ki talash hai kabhi ham-safar ki talash hai

Bismil Dehlavi

MORE BYBismil Dehlavi

    kabhī ham-navā talāsh hai kabhī ham-safar talāsh hai

    magar is talāsh ke naam par tire sang-e-dar talāsh hai

    ġham-e-do-jahāñ ḳhudā.ī se jo mazāq kar ke palaT ga.ī

    mujhe is fazā-e-majāz meñ phir usī nazar talāsh hai

    jo talātumoñ pe nisār ho jo tamavvujoñ pe fidā rahe

    jo ḳhudā se bhī na ho multajī mujhe us bashar talāsh hai

    hai mizāj-e-'ishq abhī muntashir abhī barhamī hai junūn meñ

    kabhī dard-e-dil huuñ mo'tarif kabhī chārāgar talāsh hai

    ye hayāt koī hayāt hai jo tulū' ho ke ġhurūb ho

    na ho shaam jis talāsh meñ mujhe us sahar talāsh hai

    mujhe pās-e-'izzat-e-'ishq hai maiñ amīn-e-jalva-e-husn huuñ

    ye suḳhan zabāñ pe na aa.egā tirī rahguzar talāsh hai

    hai nigāh bas tire husn par tirā 'ishq hai mirī zindagī

    na mujhe ḳhudā talāsh hai na ḳhudā ke ghar talāsh hai

    mirā saath de jo 'ishq meñ to tirī navāzish-e-be-karāñ

    maiñ bhaTak gayā tirī raah se mujhe rāhbar talāsh hai

    ye namī hai kis liye aañkh meñ ye nigāh kyoñ hai jhukī huī

    tire ġham shikva ho kyoñ mujhe mirī 'umr bhar talāsh hai

    kabhi ham-nawa ki talash hai kabhi ham-safar ki talash hai

    magar is talash ke nam par tere sang-e-dar ki talash hai

    gham-e-do-jahan ki KHudai se jo mazaq kar ke palaT gai

    mujhe is faza-e-majaz mein phir usi nazar ki talash hai

    jo talatumon pe nisar ho jo tamawwujon pe fida rahe

    jo KHuda se bhi na ho multaji mujhe us bashar ki talash hai

    hai mizaj-e-'ishq abhi muntashir abhi barhami hai junun mein

    kabhi dard-e-dil ka hun mo'tarif kabhi chaaragar ki talash hai

    ye hayat koi hayat hai jo tulu' ho ke ghurub ho

    na ho sham jis ki talash mein mujhe us sahar ki talash hai

    mujhe pas-e-'izzat-e-'ishq hai main amin-e-jalwa-e-husn hun

    ye suKHan zaban pe na aaega teri rahguzar ki talash hai

    hai nigah bas tere husn par tera 'ishq hai meri zindagi

    na mujhe KHuda ki talash hai na KHuda ke ghar ki talash hai

    mera sath de jo tu 'ishq mein to teri nawazish-e-be-karan

    main bhaTak gaya teri rah se mujhe rahbar ki talash hai

    ye nami hai kis liye aankh mein ye nigah kyon hai jhuki hui

    tere gham ka shikwa ho kyon mujhe meri 'umr bhar ki talash hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now