Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi jo maine masarrat ka ehtimam kiya

Khumar Barabankavi

kabhi jo maine masarrat ka ehtimam kiya

Khumar Barabankavi

MORE BYKhumar Barabankavi

    kabhī jo maiñ ne masarrat ehtimām kiyā

    baḌe tapāk se ġham ne mujhe salām kiyā

    hazār tark-e-ta.alluq ehtimām kiyā

    magar jahāñ vo mile dil ne apnā kaam kiyā

    zamāne vāloñ ke Dar se uThā na haath magar

    nazar se us ne ba-sad ma.azarat salām kiyā

    kabhī hañse kabhī aaheñ bharīñ kabhī ro.e

    ba-qadr-e-martaba har ġham ehtirām kiyā

    hamāre hisse mai kaam aa.e pyāsoñ ke

    ze-rāh-e-ḳhair gunāh-e-shikast-e-jām kiyā

    tulū-e-mahr se bhī ghar tīrgī na ghaTī

    ik aur shab kaTī maiñ ne din tamām kiyā

    duā ye hai na hoñ gumrāh ham-safar mere

    'ḳhumār' maiñ ne to apnā safar tamām kiyā

    kabhi jo main ne masarrat ka ehtimam kiya

    baDe tapak se gham ne mujhe salam kiya

    hazar tark-e-talluq ka ehtimam kiya

    magar jahan wo mile dil ne apna kaam kiya

    zamane walon ke Dar se uTha na hath magar

    nazar se us ne ba-sad mazarat salam kiya

    kabhi hanse kabhi aahen bharin kabhi roe

    ba-qadr-e-martaba har gham ka ehtiram kiya

    hamare hisse ki mai kaam aae pyason ke

    ze-rah-e-KHair gunah-e-shikast-e-jam kiya

    tulu-e-mahr se bhi ghar ki tirgi na ghaTi

    ek aur shab kaTi ya main ne din tamam kiya

    dua ye hai na hon gumrah ham-safar mere

    'KHumar' main ne to apna safar tamam kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now