kabhi-kabhi to mila kar kabhi-kabhi hi sahi
kabhī-kabhī to milā kar kabhī-kabhī hī sahī
mirī sadā.eñ sunā kar kabhī-kabhī hī sahī
tū apnī shoḳh adā ke tamām rang liye
mirī ġhazal meñ Dhalā kar kabhī-kabhī hī sahī
tū chāñd tāroñ kā raahī maiñ ḳhaak dhartī kī
mujhe zamīñ pe milā kar kabhī-kabhī hī sahī
mirī udāsī mirī ḳhāmushī samajhne kā
koī jatan to kiyā kar kabhī-kabhī hī sahī
kabhī zamāne kī bāteñ kabhī fulāñ kā zikr
kabhī mirī bhī sunā kar kabhī-kabhī hī sahī
ye bārisheñ ye havā.eñ tujhe bulātī haiñ
kabhī to khul ke jiyā kar kabhī-kabhī hī sahī
kabhi-kabhi to mila kar kabhi-kabhi hi sahi
meri sadaen suna kar kabhi-kabhi hi sahi
tu apni shoKH ada ke tamam rang liye
meri ghazal mein Dhala kar kabhi-kabhi hi sahi
tu chand taron ka rahi main KHak dharti ki
mujhe zamin pe mila kar kabhi-kabhi hi sahi
meri udasi meri KHamushi samajhne ka
koi jatan to kiya kar kabhi-kabhi hi sahi
kabhi zamane ki baaten kabhi fulan ka zikr
kabhi meri bhi suna kar kabhi-kabhi hi sahi
ye barishen ye hawaen tujhe bulati hain
kabhi to khul ke jiya kar kabhi-kabhi hi sahi
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 92)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.