aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi KHwahish na hui anjuman-arai ki

Ahmad Mushtaq

kabhi KHwahish na hui anjuman-arai ki

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    kabhī ḳhvāhish na huī anjuman-ārā.ī

    koī kartā hai hifāzat mirī tanhā.ī

    maiñ to gum apne nashe meñ thā mujhe kyā mā'lūm

    kis ne muñh pher liyā kis ne pazīrā.ī

    vo taġhāful bhī na thā aur tavajjoh bhī na thī

    kabhī Tokā na kabhī hausla-afzā.ī

    hichkiyāñ shām-e-shafaq-tāb thamtī na thiiñ

    ab bhī ruk ruk ke sadā aatī hai shahnā.ī

    ham se pahle bhī suḳhanvar hue kaise kaise

    ham ne bhī thoḌī bahut qāfiya-paimā.ī

    kabhi KHwahish na hui anjuman-arai ki

    koi karta hai hifazat meri tanhai ki

    main to gum apne nashe mein tha mujhe kya ma'lum

    kis ne munh pher liya kis ne pazirai ki

    wo taghaful bhi na tha aur tawajjoh bhi na thi

    kabhi Toka na kabhi hausla-afzai ki

    hichkiyan sham-e-shafaq-tab ki thamti hi na thin

    ab bhi ruk ruk ke sada aati hai shahnai ki

    hum se pahle bhi suKHanwar hue kaise kaise

    hum ne bhi thoDi bahut qafiya-paimai ki

    Source:

    Auraaq-e-Khezani (Pg. 73)

    • Author: Ahmad Mushtaq
      • Edition: 2015
      • Publisher: Rekhta Foundation
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now