kabhi mila mujhe mauqa jo lab-kushai ka
kabhī milā mujhe mauqa' jo lab-kushā.ī kā
maiñ kar sakā na gila terī bevafā.ī kā
har ek ġham bhī tirā hañs ke sah gayā lekin
bhulā sakā nahīñ lamha tirī judā.ī kā
tamām raat khanaktā hai chup nahīñ hotā
mire ḳhayāl meñ kangan tirī kalā.ī kā
maiñ kis tarah tirī bātoñ pe e'tibār karūñ
ki āj-kal yahāñ dushman hai bhaa.ī bhaa.ī kā
banā misāl vo 'ibrat kī kul-jahāñ ke liye
kiyā hai jis ne bhī dā'vā yahāñ ḳhudā.ī kā
maiñ raakh jhaaḌ ke cigarette kī uTh paḌā 'shahzād'
jahāñ bhī zikr huā terī pārsā.ī kā
kabhi mila mujhe mauqa' jo lab-kushai ka
main kar saka na gila teri bewafai ka
har ek gham bhi tera hans ke sah gaya lekin
bhula saka nahin lamha teri judai ka
tamam raat khanakta hai chup nahin hota
mere KHayal mein kangan teri kalai ka
main kis tarah teri baaton pe e'tibar karun
ki aaj-kal yahan dushman hai bhai bhai ka
bana misal wo 'ibrat ki kul-jahan ke liye
kiya hai jis ne bhi da'wa yahan KHudai ka
main rakh jhaD ke cigarette ki uTh paDa 'shahzad'
jahan bhi zikr hua teri parsai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.