kabhi mujhko khanakti chuDiyan dushman si lagti hain
kabhi mujhko khanakti chuDiyan dushman si lagti hain
Bhoomi Srivastava
MORE BYBhoomi Srivastava
kabhī mujh ko khanaktī chūḌiyāñ dushman sī lagtī haiñ
tumheñ sunte hue sab boliyāñ dushman sī lagtī haiñ
bhale ik do qadam ke fāsle pe tum khaḌe ho par
mujhe itnī bhī tum se dūriyāñ dushman sī lagtī haiñ
tumhāre gird duniyā ḳhūb-sūrat hai magar mujh ko
tumhāre paas baiThī laḌkiyāñ dushman sī lagtī haiñ
tumhāre bin nazāroñ kī numā.ish bhī nahīñ hotī
tumhāre bin ye nadiyāñ ghāTiyāñ dushman sī lagtī haiñ
kabhi mujh ko khanakti chuDiyan dushman si lagti hain
tumhein sunte hue sab boliyan dushman si lagti hain
bhale ek do qadam ke fasle pe tum khaDe ho par
mujhe itni bhi tum se duriyan dushman si lagti hain
tumhaare gird duniya KHub-surat hai magar mujh ko
tumhaare pas baiThi laDkiyan dushman si lagti hain
tumhaare bin nazaron ki numaish bhi nahin hoti
tumhaare bin ye nadiyan ghaTiyan dushman si lagti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.