Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi ruka main yahan to kabhi wahan Thahra

Waqar Riyaz

kabhi ruka main yahan to kabhi wahan Thahra

Waqar Riyaz

MORE BYWaqar Riyaz

    kabhī rukā maiñ yahāñ to kabhī vahāñ Thahrā

    ḳhushī ke vāste āḳhir kahāñ kahāñ Thahrā

    vo bhiik maañg rahā thā ḳhulūs lekin

    sadā.eñ sun ke kisī koī kahāñ Thahrā

    jale bahan koī aur kaun pūchhegā

    mirā samāj to vaise bhī be-zabāñ Thahrā

    dayār-e-ġhair meñ kar to kuchh sañvar jaatā

    milegā pyaar yahī soch kar yahāñ Thahrā

    kise ḳhabar ki vo merī tarah safar meñ hai

    sukūt-e-shab meñ parinda kahāñ kahāñ Thahrā

    nazar-navāz nazāra thā duur se lekin

    'vaqār' paas se dekhā to vo dhuāñ Thahrā

    kabhi ruka main yahan to kabhi wahan Thahra

    KHushi ke waste aaKHir kahan kahan Thahra

    wo bhik mang raha tha KHulus ki lekin

    sadaen sun ke kisi ki koi kahan Thahra

    jale bahan ya koi aur kaun puchhega

    mera samaj to waise bhi be-zaban Thahra

    dayar-e-ghair mein ja kar to kuchh sanwar jata

    milega pyar yahi soch kar yahan Thahra

    kise KHabar ki wo meri tarah safar mein hai

    sukut-e-shab mein parinda kahan kahan Thahra

    nazar-nawaz nazara tha dur se lekin

    'waqar' pas se dekha to wo dhuan Thahra

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now