kabhi zid par utar aate kabhi had se guzar jate
kabhī zid par utar aate kabhī had se guzar jaate
agar yakjā.ī mushkil thī to behtar thā bikhar jaate
kabhī tum ne tah-e-dil se mudāvā hī nahīñ chāhā
vagarna zaḳhm aise the ki chhūne se hī bhar jaate
mohabbat kā bharam rakkhe rahīñ mahrūmiyāñ varna
mayassar ho ga.e hote to ham dil se utar jaate
koī rahtā nahīñ ab us galī meñ jānñe vaalā
magar Dartā hai ab bhī dil na jaane kyoñ udhar jaate
kisī sūrat nikaltī to tire dīdār kī sūrat
to ham tujh se na milne kī qasam se bhī mukar jaate
yahī ik āstāna hai zamāne meñ ḳharāboñ kā
tire dar tak nahīñ aate to dīvāne kidhar jaate
bigaḌ kar Thiik hone ne hameñ barbād kar Daalā
bigaḌte hī ga.e hote to mumkin thā sañvar jaate
kabhi zid par utar aate kabhi had se guzar jate
agar yakjai mushkil thi to behtar tha bikhar jate
kabhi tum ne tah-e-dil se mudawa hi nahin chaha
wagarna zaKHm aise the ki chhune se hi bhar jate
mohabbat ka bharam rakkhe rahin mahrumiyan warna
mayassar ho gae hote to hum dil se utar jate
koi rahta nahin ab us gali mein jaanne wala
magar Darta hai ab bhi dil na jaane kyon udhar jate
kisi surat nikalti to tere didar ki surat
to hum tujh se na milne ki qasam se bhi mukar jate
yahi ek aastana hai zamane mein KHarabon ka
tere dar tak nahin aate to diwane kidhar jate
bigaD kar Thik hone ne hamein barbaad kar Dala
bigaDte hi gae hote to mumkin tha sanwar jate
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 99)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.