kahan basti mein hum har ek hasin se chae pite hain
kahāñ bastī meñ ham har ik hasīñ se chaa.e piite haiñ
jahāñ chāhat mayassar ho vahīñ se chaa.e piite haiñ
ye ḳhasta kursiyāñ ye zard chehre aur dhuāñ manzar
yahīñ ham baiThte haiñ aur yahīñ se chaa.e piite haiñ
bahut uktā ga.e haiñ 'arsh kī paiham masāfat se
chalo aao nikalte haiñ zamīñ se chaa.e piite haiñ
shikasta-dil haiñ aur TuuTe diloñ se ham ko nisbat hai
inhīñ meñ baiThte haiñ aur inhīñ se chaa.e piite haiñ
mire ham-sā.e ho kyoñ mujh se itnā duur rahte ho
chalo kuchh baat karte haiñ kahīñ se chaa.e piite haiñ
dayār-e-ġhair meñ haiñ aur yahī hai būd-o-bāsh apnī
kisī sofe pe sote haiñ mashīñ se chaa.e piite haiñ
kisī kī yaad meñ baiThe raheñ yuuñ ġham-zada kab tak
chalo 'ashfāq' chalte haiñ kahīñ se chaa.e piite haiñ
kahan basti mein hum har ek hasin se chae pite hain
jahan chahat mayassar ho wahin se chae pite hain
ye KHasta kursiyan ye zard chehre aur dhuan manzar
yahin hum baiThte hain aur yahin se chae pite hain
bahut ukta gae hain 'arsh ki paiham masafat se
chalo aao nikalte hain zamin se chae pite hain
shikasta-dil hain aur TuTe dilon se hum ko nisbat hai
inhin mein baiThte hain aur inhin se chae pite hain
mere ham-sae ho kyon mujh se itna dur rahte ho
chalo kuchh baat karte hain kahin se chae pite hain
dayar-e-ghair mein hain aur yahi hai bud-o-bash apni
kisi sofe pe sote hain mashin se chae pite hain
kisi ki yaad mein baiThe rahen yun gham-zada kab tak
chalo 'ashfaq' chalte hain kahin se chae pite hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.