kahan gai wo raushni wo ratjage kahan gae
kahāñ ga.ī vo raushnī vo ratjage kahāñ ga.e
charāġh jaane kyā hue vo tāqche kahāñ ga.e
zamīn un ko khā ga.ī ki āsmāñ nigal gayā
jo hārte kabhī na the vo haar ke kahāñ ga.e
vatan ko chhoḌte samay koī to ham ko roktā
vo minnateñ kahāñ ga.iiñ vo vāste kahāñ ga.e
burā lage na aap ko to ek baat pūchh luuñ
mire to ḳhair aap the par aap ke kahāñ ga.e
hameñ to kuchh ḳhabar nahīñ ki ham kahāñ haiñ āj-kal
hameñ to hosh bhī nahīñ ki aable kahāñ ga.e
maiñ sochtā hī rah gayā vo log jaane kyā hue
maiñ dekhtā hī rah gayā ki qāfile kahāñ ga.e
yahāñ baḌā hujūm thā yahīñ kahīñ thiiñ raunaqeñ
vo dostī kahāñ ga.ī vo rābte kahāñ ga.e
kahan gai wo raushni wo ratjage kahan gae
charagh jaane kya hue wo taqche kahan gae
zamin un ko kha gai ki aasman nigal gaya
jo haarte kabhi na the wo haar ke kahan gae
watan ko chhoDte samay koi to hum ko rokta
wo minnaten kahan gain wo waste kahan gae
bura lage na aap ko to ek baat puchh lun
mere to KHair aap the par aap ke kahan gae
hamein to kuchh KHabar nahin ki hum kahan hain aaj-kal
hamein to hosh bhi nahin ki aable kahan gae
main sochta hi rah gaya wo log jaane kya hue
main dekhta hi rah gaya ki qafile kahan gae
yahan baDa hujum tha yahin kahin thin raunaqen
wo dosti kahan gai wo rabte kahan gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.