kahan kahan pe hai milta kahan nahin milta
kahāñ kahāñ pe hai miltā kahāñ nahīñ miltā
zamīn jāntī hai āsmāñ nahīñ miltā
samajh sakā na kabhī koī kaifiyat merī
maiñ vo charāġh huuñ jis kā dhuāñ nahīñ miltā
safar kaThin hai bahut sañglāḳh rāheñ haiñ
sukūn ke liye ab sā.ebāñ nahīñ miltā
Thahar ga.ī hai talātum meñ kashtī-e-hastī
maiñ kyā karūñ mujhe āb-e-ravāñ nahīñ miltā
maiñ apne raaz sabhī khol duuñ kisī dil par
kahūñ maiñ kis se koī rāz-dāñ nahīñ miltā
kabhī to jhāñk liyā hotā apne andar bhī
talāsh kartā hai jis jā vahāñ nahīñ miltā
sadā.eñ dair se aatī haiñ yaañ bhī dekh to le
haram pukār ke kahtā hai vaañ nahīñ miltā
gumān chhoḌ de manzil kī kuchh sharā.it haiñ
binā qubūl kiye do-jahāñ nahīñ miltā
kahan kahan pe hai milta kahan nahin milta
zamin jaanti hai aasman nahin milta
samajh saka na kabhi koi kaifiyat meri
main wo charagh hun jis ka dhuan nahin milta
safar kaThin hai bahut sanglaKH rahen hain
sukun ke liye ab saeban nahin milta
Thahar gai hai talatum mein kashti-e-hasti
main kya karun mujhe aab-e-rawan nahin milta
main apne raaz sabhi khol dun kisi dil par
kahun main kis se koi raaz-dan nahin milta
kabhi to jhank liya hota apne andar bhi
talash karta hai jis ja wahan nahin milta
sadaen dair se aati hain yan bhi dekh to le
haram pukar ke kahta hai wan nahin milta
guman chhoD de manzil ki kuchh sharait hain
bina qubul kiye do-jahan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.