kahan ke phul shagufta koi kali bhi nahin
kahāñ ke phuul shagufta koī kalī bhī nahīñ
bahār aisī luTī ho kabhī kabhī bhī nahīñ
bahār ho to junūñ par shabāb aatā hai
baġhair mausam-e-gul chāk-dāmanī bhī nahīñ
ḳhudā kare ki añdhere hī raas aa jaa.eñ
hameñ kuchh itnī tamannā-e-raushnī bhī nahīñ
bane hue haiñ vo ḳhāsān-e-mai-kada yaaro
jo log vāqif-e-ādāb-e-mai-kashī bhī nahīñ
tamām shahr ko hai ārzū-e-ḳhud-nigarī
kisī ke haath meñ afsos aarsī bhī nahīñ
rahe ḳhayāl ġham-e-zindagī ke nauhagar
jo ġham nahīñ to koī lutf-e-zindagī bhī nahīñ
hamāre chehre se zāhir agar nahīñ 'ambar'
magar jo kaifiyat-e-dil hai vo chhupī bhī nahīñ
kahan ke phul shagufta koi kali bhi nahin
bahaar aisi luTi ho kabhi kabhi bhi nahin
bahaar ho to junun par shabab aata hai
baghair mausam-e-gul chaak-damani bhi nahin
KHuda kare ki andhere hi ras aa jaen
hamein kuchh itni tamanna-e-raushni bhi nahin
bane hue hain wo KHasan-e-mai-kada yaro
jo log waqif-e-adab-e-mai-kashi bhi nahin
tamam shahr ko hai aarzu-e-KHud-nigari
kisi ke hath mein afsos aarsi bhi nahin
rahe KHayal gham-e-zindagi ke nauhagar
jo gham nahin to koi lutf-e-zindagi bhi nahin
hamare chehre se zahir agar nahin 'ambar'
magar jo kaifiyat-e-dil hai wo chhupi bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.