Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan se darmiyan le aae ho jo sab nahin hota

Sagheer Ahmad Sagheer

kahan se darmiyan le aae ho jo sab nahin hota

Sagheer Ahmad Sagheer

MORE BYSagheer Ahmad Sagheer

    kahāñ se darmiyāñ le aa.e ho jo sab nahīñ hotā

    mohabbat to duniyā meñ koī maz.hab nahīñ hotā

    mujhe tum dekhte rahte ho lekin kuchh nahīñ kahte

    maiñ kaise maan luuñ is koī matlab nahīñ hotā

    ham apne dil ke baare meñ batā sakte nahīñ kuchh bhī

    ki jaane kab ye hotā hai na-jāne kab nahīñ hotā

    ta.alluq jabr samjheñ aur nibhāte chale jaa.eñ

    koī to had bhī hotī hai ye ham se ab nahīñ hotā

    tire kahne pe sar ke bal chale aate haiñ ham varna

    kisī se kaun miltā hai agar matlab nahīñ hotā

    'saġhīr' ohde vaġhaira haiñ zarūrat aur logoñ

    faqīrī meñ kisī koī bhī mansab nahīñ hotā

    kahan se darmiyan le aae ho jo sab nahin hota

    mohabbat ka to duniya mein koi mazhab nahin hota

    mujhe tum dekhte rahte ho lekin kuchh nahin kahte

    main kaise man lun is ka koi matlab nahin hota

    hum apne dil ke bare mein bata sakte nahin kuchh bhi

    ki jaane kab ye hota hai na-jaane kab nahin hota

    talluq jabr samjhen aur nibhate hi chale jaen

    koi to had bhi hoti hai ye hum se ab nahin hota

    tere kahne pe sar ke bal chale aate hain hum warna

    kisi se kaun milta hai agar matlab nahin hota

    'saghir' ohde waghaira hain zarurat aur logon ki

    faqiri mein kisi ka koi bhi mansab nahin hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now