kahin hum na honge to kya kijiyega
kahīñ ham na hoñge to kyā kījiyegā
kisī aur se dil lagā lījiyegā
mirī yaad aa.e to logoñ se bach kar
akele meñ aañsū bahā lījiyegā
agar pyaas se maiñ lab-e-jān Thahrūñ
nigāhoñ se thoḌā pilā dījiyegā
agar phir kisī moḌ par sāmnā ho
zarā pyaar se muskurā dījiyegā
salāmat rahe aap kī bevafā.ī
hamāre liye bhī du'ā kījiyegā
hameñ aap kī dostī par yaqīñ hai
jo chāhegā dil vo sazā dījiyegā
hamāre tabīb-e-mohabbat se kahnā
zarā dil lagā kar davā kījiyegā
bharī bazm se uTh ke 'sajjād' sāhib
diyā ghar ke andar jalā lījiyegā
kahin hum na honge to kya kijiyega
kisi aur se dil laga lijiyega
meri yaad aae to logon se bach kar
akele mein aansu baha lijiyega
agar pyas se main lab-e-jaan Thahrun
nigahon se thoDa pila dijiyega
agar phir kisi moD par samna ho
zara pyar se muskura dijiyega
salamat rahe aap ki bewafai
hamare liye bhi du'a kijiyega
hamein aap ki dosti par yaqin hai
jo chahega dil wo saza dijiyega
hamare tabib-e-mohabbat se kahna
zara dil laga kar dawa kijiyega
bhari bazm se uTh ke 'sajjad' sahib
diya ghar ke andar jala lijiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.