Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin jaun talluq ka sitara chalta rahta hai

Bismil Arifi

kahin jaun talluq ka sitara chalta rahta hai

Bismil Arifi

MORE BYBismil Arifi

    kahīñ jā.ūñ ta.alluq sitāra chaltā rahtā hai

    mire hamrāh ye kis ishāra chaltā rahtā hai

    basīrat kho ga.ī lekin tavaqqo.a hai bashārat

    kisī ke naam ab bhī sahārā chaltā rahtā hai

    ab ik qatra bhī dil jhiil meñ paanī nahīñ rahtā

    magar kyā kījiye tab bhī shikārā chaltā rahtā hai

    kahāñ tum ārzūoñ havelī DhūñDne nikle

    yahāñ to be-panāhī meñ guzārā chaltā rahtā hai

    ham apne dostoñ par naaz kuchh yūñhī nahīñ karte

    ki zikr-e-ḳhair ho bad hamārā chaltā rahtā hai

    kaleja hai to maidān-e-amal meñ aa kitābeñ likh

    adab ke kaam meñ pyāre ḳhasāra chaltā rahtā hai

    kabhī aao to dikhlā.eñ karishma tum ko dariyā

    ki maujeñ munjamid haiñ aur kināra chaltā rahtā hai

    kahin jaun talluq ka sitara chalta rahta hai

    mere hamrah ye kis ka ishaara chalta rahta hai

    basirat kho gai lekin tawaqqoa hai bashaarat ki

    kisi ke nam ka ab bhi sahaara chalta rahta hai

    ab ek qatra bhi dil ki jhil mein pani nahin rahta

    magar kya kijiye tab bhi shikara chalta rahta hai

    kahan tum aarzuon ki haweli DhunDne nikle

    yahan to be-panahi mein guzara chalta rahta hai

    hum apne doston par naz kuchh yunhi nahin karte

    ki zikr-e-KHair ho ya bad hamara chalta rahta hai

    kaleja hai to maidan-e-amal mein aa kitaben likh

    adab ke kaam mein pyare KHasara chalta rahta hai

    kabhi aao to dikhlaen karishma tum ko dariya ka

    ki maujen munjamid hain aur kinara chalta rahta hai

    Source:

    مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 23)

    • Author: بسمل عارفی
      • Publisher: نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now