kahin jal ke tab-e-nigah se mujhe dekhne ki saza na de

kahin jal ke tab-e-nigah se mujhe dekhne ki saza na de
Syed Mubarak Shah
MORE BYSyed Mubarak Shah
kahīñ jal ke tāb-e-nigāh se mujhe dekhne kī sazā na de
jise log kahte haiñ raushnī mirī tīrgī ko bujhā na de
ye gumān-e-subh-e-baqā kahīñ na yaqīn-e-shām-e-fanā bane
ki azān-e-ḳhvāb-e-sahar mujhe shab-e-zindagī meñ sulā na de
yahī ek lamha-e-jāñ-gusil to naved-e-rāhat-e-dard hai
dil-e-be-ḳhabar ye matā'-e-jāñ kahīñ āñsuoñ meñ luTā na de
mire hādsāt-e-hayāt meñ tirī kā.enāt kī ḳhair ho
ki ye irti'āsh-e-nazar mirā tire āsmāñ ko girā na de
ye ḳhayāl-e-mehr-e-nashāt-e-nau ki ye tez-tar tirī raushnī
kisī chashm-e-nam se ho mun'akis to dhanak ko terī jalā na de
kahin jal ke tab-e-nigah se mujhe dekhne ki saza na de
jise log kahte hain raushni meri tirgi ko bujha na de
ye guman-e-subh-e-baqa kahin na yaqin-e-sham-e-fana bane
ki azan-e-KHwab-e-sahar mujhe shab-e-zindagi mein sula na de
yahi ek lamha-e-jaan-gusil to nawed-e-rahat-e-dard hai
dil-e-be-KHabar ye mata'-e-jaan kahin aansuon mein luTa na de
mere hadsat-e-hayat mein teri kaenat ki KHair ho
ki ye irti'ash-e-nazar mera tere aasman ko gira na de
ye KHayal-e-mehr-e-nashat-e-nau ki ye tez-tar teri raushni
kisi chashm-e-nam se ho mun'akis to dhanak ko teri jala na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.