kahin se jab koi aawaz aai
kahīñ se jab koī āvāz aa.ī
maiñ ye samjhā tirī āvāz aa.ī
vahāñ tak ham ne dīvāreñ girā diiñ
jahāñ tak aap kī āvāz aa.ī
huā hogā kahīñ par shor koī
hameñ to bas tirī āvāz aa.ī
kahā maiñ ne zarā paanī pilā de
kueñ se bhī yahī āvāz aa.ī
samā'at par junūñ thā itnā haavī
jo sochī thī vahī āvāz aa.ī
usī kī guuñj hai merī ḳhamoshī
tirī jo āḳhirī āvāz aa.ī
achānak raat meñ bhī chauñk uThThā
bahut din meñ mirī āvāz aa.ī
kahin se jab koi aawaz aai
main ye samjha teri aawaz aai
wahan tak hum ne diwaren gira din
jahan tak aap ki aawaz aai
hua hoga kahin par shor koi
hamein to bas teri aawaz aai
kaha main ne zara pani pila de
kuen se bhi yahi aawaz aai
sama'at par junun tha itna hawi
jo sochi thi wahi aawaz aai
usi ki gunj hai meri KHamoshi
teri jo aaKHiri aawaz aai
achanak raat mein bhi chaunk uThTha
bahut din mein meri aawaz aai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 64)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.