Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahiye kya aur faisle ki baat

Qalaq Merathi

kahiye kya aur faisle ki baat

Qalaq Merathi

MORE BYQalaq Merathi

    kahiye kyā aur faisle baat

    vasl hai ik muāmle baat

    us ke kūche meñ laakh sar-gardāñ

    ek yūsuf ke qāfile baat

    gesū-e-hūr aur zāhid bas

    zikr-e-kākul hai silsile baat

    ġhair se ham ko rashk-e-sall-e-alā

    kahiye kuchh apne hausle baat

    ek aalam ko kar diyā pāmāl

    ye bhī hai koī mashġhale baat

    kyā bigaḌnā unheñ nahīñ aatā

    sulh bhī hai mujādale baat

    dekh kyā kahte haiñ ḳhudā se ham

    ik zarā hai muqāble baat

    is qadar aur qarīb-e-ḳhātir

    aql se hai ye fāsle baat

    dāvar-e-hashr se bhī haal kahā

    nahīñ ruktī kahīñ gile baat

    na chale paañv aur na sar chale

    be-sar-o-pā hai aable baat

    koī mazmūñ kabhī na pesh aayā

    sher meñ hai phir sile baat

    ham-nashīñ arsh hil gayā shab-e-hijr

    pūchh mat ke zalzale baat

    ai qalaq dil ko soch kar denā

    kuchh nahīñ Thiik valvale baat

    kahiye kya aur faisle ki baat

    wasl hai ek muamle ki baat

    us ke kuche mein lakh sar-gardan

    ek yusuf ke qafile ki baat

    gesu-e-hur aur zahid bas

    zikr-e-kakul hai silsile ki baat

    ghair se hum ko rashk-e-sall-e-ala

    kahiye kuchh apne hausle ki baat

    ek aalam ko kar diya pamal

    ye bhi hai koi mashghale ki baat

    kya bigaDna unhen nahin aata

    sulh bhi hai mujadale ki baat

    dekh kya kahte hain KHuda se hum

    ek zara hai muqable ki baat

    is qadar aur qarib-e-KHatir tu

    aql se hai ye fasle ki baat

    dawar-e-hashr se bhi haal kaha

    nahin rukti kahin gile ki baat

    na chale panw aur na sar hi chale

    be-sar-o-pa hai aable ki baat

    koi mazmun kabhi na pesh aaya

    sher mein ki hai phir sile ki baat

    ham-nashin arsh hil gaya shab-e-hijr

    puchh mat ji ke zalzale ki baat

    ai qalaq dil ko soch kar dena

    kuchh nahin Thik walwale ki baat

    Source:

    Kulliyat-e-Qalaq (Pg. ebook-147 page-69)

    • Author: Qalaq Merathi
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now