kahne bhi kuchh na pae the aah-e-rasa se hum
kahne bhī kuchh na paa.e the āh-e-rasā se ham
sunñā paḌā ki aaj laḌeñge havā se ham
zid aap ko asar se asar ko duā se laag
farmā.iye to haath uThā leñ duā se ham
pīseñ kise ye kahte haiñ fitne dam-e-ḳhirām
itnī baḌe huzūr qayāmat zarā se ham
mahshar meñ paa.ī jām-ba-kaf-hūr zāhido
achchhe rahe yahāñ bhī tumhārī duā se ham
sote meñ kaam aa.ī na kuchh chashm-e-nīm-bāz
khul khele aaj yaar ke band-e-qabā se ham
ham jānte haiñ ḳhuub adāoñ kī shoḳhiyāñ
ham haiñ adā-shanās Dareñ kyā qazā se ham
uTh jaa.e bār-e-sharm to sau fitne ham uThā.eñ
kahtī hai vo nigāh dabe haiñ hayā se ham
hūroñ ke badle hoñ but-e-kāfir hameñ nasīb
tum ko agar satā.eñ to paa.eñ ḳhudā se ham
karte na ham vafā to na baḌhte jafā-o-jaur
sharminda vo jafā se to apnī duā se ham
mumkin hai jā ke arsa-e-mahshar meñ sar uThā.eñ
terī galī meñ dab ke rahe naqsh-e-pā se ham
un ke liye maze kī sazā hai yahī 'riyāz'
mahshar meñ maañg leñge butoñ ko ḳhudā se ham
kahne bhi kuchh na pae the aah-e-rasa se hum
sunna paDa ki aaj laDenge hawa se hum
zid aap ko asar se asar ko dua se lag
farmaiye to hath uTha len dua se hum
pisen kise ye kahte hain fitne dam-e-KHiram
itni baDe huzur qayamat zara se hum
mahshar mein pai jam-ba-kaf-hur zahido
achchhe rahe yahan bhi tumhaari dua se hum
sote mein kaam aai na kuchh chashm-e-nim-baz
khul khele aaj yar ke band-e-qaba se hum
hum jaante hain KHub adaon ki shoKHiyan
hum hain ada-shanas Daren kya qaza se hum
uTh jae bar-e-sharm to sau fitne hum uThaen
kahti hai wo nigah dabe hain haya se hum
huron ke badle hon but-e-kafir hamein nasib
tum ko agar sataen to paen KHuda se hum
karte na hum wafa to na baDhte jafa-o-jaur
sharminda wo jafa se to apni dua se hum
mumkin hai ja ke arsa-e-mahshar mein sar uThaen
teri gali mein dab ke rahe naqsh-e-pa se hum
un ke liye maze ki saza hai yahi 'riyaz'
mahshar mein mang lenge buton ko KHuda se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.