Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahne ko ho chuka hun main farigh-ba-rozgar

Abdussalam Asim

kahne ko ho chuka hun main farigh-ba-rozgar

Abdussalam Asim

MORE BYAbdussalam Asim

    kahne ko ho chukā huuñ maiñ fāriġh-ba-rozgār

    ālām-e-rozgār se mumkin nahīñ farār

    jis dil pe sirf merā haq honā chāhiye

    vo ab bhī mere paas hai par vaqf-e-intishār

    kal bhī thā aur kal bhī rahegā bahar-lihāz

    rāh-e-safar hissa chaman-zār ḳhār-zār

    mausam hai fasl-e-gul magar dil ke baaġh meñ

    haiñ Tahniyāñ udaas to shāḳheñ haiñ be-bahār

    ḳhāzin huuñ nazm-o-nasr ke sarmā.e magar

    mumkin nahīñ hai mujh se kitāboñ kārobār

    naqd-o-nazar se letā hai 'āsim' bhī shaaz kaam

    rakhtā nahīñ kabhī koī saudā magar udhār

    kahne ko ho chuka hun main farigh-ba-rozgar

    aalam-e-rozgar se mumkin nahin farar

    jis dil pe sirf mera hi haq hona chahiye

    wo ab bhi mere pas hai par waqf-e-intishaar

    kal bhi tha aur kal bhi rahega bahar-lihaz

    rah-e-safar ka hissa chaman-zar KHar-zar

    mausam hai fasl-e-gul ka magar dil ke bagh mein

    hain Tahniyan udas to shaKHen hain be-bahaar

    KHazin hun nazm-o-nasr ke sarmae ka magar

    mumkin nahin hai mujh se kitabon ka karobar

    naqd-o-nazar se leta hai 'asim' bhi shaz kaam

    rakhta nahin kabhi koi sauda magar udhaar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now