aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahne sunne se meri unki adawat ho gai

Munshi Amirullah Tasleem

kahne sunne se meri unki adawat ho gai

Munshi Amirullah Tasleem

MORE BYMunshi Amirullah Tasleem

    kahne sunñe se mirī un 'adāvat ho ga.ī

    jo na honī thī vo ġhairoñ badaulat ho ga.ī

    roz aatī hai magar ik roz bhī aatī nahīñ

    ai ajal bhī mire haq meñ qayāmat ho ga.ī

    mere un ke ab kahāñ pahlā tapāk-e-āshiqī

    chalte phirte mil ga.e sāhab-salāmat ho ga.ī

    samjhe the dasht-e-junūñ meñ kuchh bahal jā.egā dil

    dekh kar sunsān jangal duunī vahshat ho ga.ī

    shakl dikhlātī nahīñ shīshe se aa ke jaam meñ

    duḳhtar-e-raz to abhī se be-muravvat ho ga.ī

    marg-e-āshiq 'abas hai sog har dam is qadar

    chhuT gayā vo qaid-e-ġham se tum ko fursat ho ga.ī

    fasl-e-gul aa.ī baḌhe josh-e-junūñ ke valvale

    phir vah.y 'taslīm' apnī ġhair hālat ho ga.ī

    kahne sunne se meri un ki 'adawat ho gai

    jo na honi thi wo ghairon ki badaulat ho gai

    roz aati hai magar ek roz bhi aati nahin

    ai ajal tu bhi mere haq mein qayamat ho gai

    mere un ke ab kahan pahla tapak-e-ashiqi

    chalte phirte mil gae sahab-salamat ho gai

    samjhe the dasht-e-junun mein kuchh bahal jaega dil

    dekh kar sunsan jangal duni wahshat ho gai

    shakl dikhlati nahin shishe se aa ke jam mein

    duKHtar-e-raz tu to abhi se be-murawwat ho gai

    marg-e-ashiq ka 'abas hai sog har dam is qadar

    chhuT gaya wo qaid-e-gham se tum ko fursat ho gai

    fasl-e-gul aai baDhe josh-e-junun ke walwale

    phir wahy 'taslim' apni ghair haalat ho gai

    Source:

    Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 170)

    • Author: Farhat Ehsas
      • Edition: 2017
      • Publisher: Rekhta Books
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now