kaho to kya ye masala hai ain shin qaf ka
kaho to kyā ye mas.ala hai 'ain shiin qaaf kā
jī rasta mushkiloñ-bharā hai 'ain shiin qaaf kā
ise kiye baġhair ḳhud ḳhudā bhī rah nahīñ sakā
yahī to dost mo'jiza hai 'ain shiin qaaf kā
bane phire haiñ qais āj-kal jo un se pūchhiye
unheñ zarā sā bhī pata hai 'ain shiin qaaf kā
yahāñ vahāñ na dekh shaiḳh jā chalā jā mai-kade
agar jo raqs dekhnā hai 'ain shiin qaaf kā
sināñ kī nok par karā de jo imaam se sanā
huzūr aisā martaba hai 'ain shiin qaaf kā
tire baġhair chal nahīñ sakeñge ik qadam bhī ham
bahut kaThin ye rāsta hai 'ain shiin qaaf kā
kahīñ pe karbalā kahīñ pe hashr barpā kar diyā
ye muḳhtasar sā vāqi'a hai 'ain shain qaaf kā
kaho to kya ye masala hai 'ain shin qaf ka
ji rasta mushkilon-bhara hai 'ain shin qaf ka
ise kiye baghair KHud KHuda bhi rah nahin saka
yahi to dost mo'jiza hai 'ain shin qaf ka
bane phire hain qais aaj-kal jo un se puchhiye
unhen zara sa bhi pata hai 'ain shin qaf ka
yahan wahan na dekh shaiKH ja chala ja mai-kade
agar jo raqs dekhna hai 'ain shin qaf ka
sinan ki nok par kara de jo imam se sana
huzur aisa martaba hai 'ain shin qaf ka
tere baghair chal nahin sakenge ek qadam bhi hum
bahut kaThin ye rasta hai 'ain shin qaf ka
kahin pe karbala kahin pe hashr barpa kar diya
ye muKHtasar sa waqi'a hai 'ain shain qaf ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.