kahta hai kar-e-ishq mein mar jaana chahiye
kahtā hai kār-e-'ishq meñ mar jaanā chāhiye
is ḳhush-gumāñ ko aap se milvānā chāhiye
jhapkā.e jo na aañkh rehearsal ke vaqt bhī
aise tamāshbīn se ghabrānā chāhiye
apne siyāh baal dikhā.ūñ ki surḳh gaal
itnā to maut ko bhī nazar aanā chāhiye
vahshī koī mile to karūñ us se mashvara
sahrā meñ kitnī zor se chillānā chāhiye
ḳhvāhish to hai magar nahīñ tāqat gunāh kī
yā'nī ki vaqt aa gayā pachhtānā chāhiye
kyoñ dasht baar baar mujhe bhejte haiñ aap
bāzār naam kā koī vīrāna chāhiye
kahta hai kar-e-'ishq mein mar jaana chahiye
is KHush-guman ko aap se milwana chahiye
jhapkae jo na aankh rehearsal ke waqt bhi
aise tamashbin se ghabrana chahiye
apne siyah baal dikhaun ki surKH gal
itna to maut ko bhi nazar aana chahiye
wahshi koi mile to karun us se mashwara
sahra mein kitni zor se chillana chahiye
KHwahish to hai magar nahin taqat gunah ki
ya'ni ki waqt aa gaya pachhtana chahiye
kyon dasht bar bar mujhe bhejte hain aap
bazar nam ka koi virana chahiye
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 44)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.