kahta hai phir qalam ki koi waqia likhun
kahtā hai phir qalam ki koī vāqi.a likhūñ
har baar sochtā huuñ maiñ ab kuchh nayā likhūñ
haivāniyat kī phir se chalo intihā likhūñ
sach ko agar maiñ sach na likhūñ aur kyā likhūñ
zinda huuñ zindagī se magar ḳhauf hai mujhe
dam ghuT rahā ho jis meñ use kyoñ havā likhūñ
vahshat kī aag meñ haiñ jhulastī jo aabrū
un par hue har ek sitam kī sadā likhūñ
vo chāñd pe chale haiñ banāne ko āshiyāñ
maiñ aaj bhī zamīñ kī kahī iltijā likhūñ
murda haiñ jism ruuh kī koī ḳhabar nahīñ
māmūl-e-roz-o-shab maiñ yahī hādisa likhūñ
so.e haiñ jo zamīr jagā.ūñ unheñ yuuñ phir
is haal kā maiñ baiTh ke ik tabsira likhūñ
kahta hai phir qalam ki koi waqia likhun
har bar sochta hun main ab kuchh naya likhun
haiwaniyat ki phir se chalo intiha likhun
sach ko agar main sach na likhun aur kya likhun
zinda hun zindagi se magar KHauf hai mujhe
dam ghuT raha ho jis mein use kyon hawa likhun
wahshat ki aag mein hain jhulasti jo aabru
un par hue har ek sitam ki sada likhun
wo chand pe chale hain banane ko aashiyan
main aaj bhi zamin ki kahi iltija likhun
murda hain jism ruh ki koi KHabar nahin
mamul-e-roz-o-shab main yahi hadisa likhun
soe hain jo zamir jagaun unhen yun phir
is haal ka main baiTh ke ek tabsira likhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.