Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kai dilon mein paDi is se shor-o-shar ki tarah

Zahid Farani

kai dilon mein paDi is se shor-o-shar ki tarah

Zahid Farani

MORE BYZahid Farani

    ka.ī diloñ meñ paḌī is se shor-o-shar tarah

    tirā ḳhayāl hai uḌtī huī ḳhabar tarah

    nahīñ hai tāb-e-nazar kam-ayār āñkhoñ meñ

    chamak rahā hai vo chehra dukān-e-zar tarah

    haTegī gard-e-mah-o-sāl kis ke hāthoñ se

    zamāna band paḌā hai qadīm dar tarah

    ḳhayāl-e-ġhair nikaltā nahīñ mire dil se

    kisī ke ghar meñ ye baiThā hai apne ghar tarah

    ThiThak gayā maiñ use apne sāmne kar

    mujhe lagā vo guzargāh-e-pur-ḳhatar tarah

    sukūñ ke saath thakan bhī hai us yādoñ meñ

    guzishta umr hai bhūle hue safar tarah

    pas-e-adā-e-nazar chhup ga.ī hai tārīkī

    vo be-naqāb huā avvalīñ sahar tarah

    jo mere sāmne muddat ke ba.ad aayā thā

    guzar gayā hai uchaTtī huī nazar tarah

    Dhale haiñ in meñ mirī zindagī ke shām-o-sahar

    haiñ mere sher hikāyāt-e-muḳhtasar tarah

    kai dilon mein paDi is se shor-o-shar ki tarah

    tera KHayal hai uDti hui KHabar ki tarah

    nahin hai tab-e-nazar kam-ayar aankhon mein

    chamak raha hai wo chehra dukan-e-zar ki tarah

    haTegi gard-e-mah-o-sal kis ke hathon se

    zamana band paDa hai qadim dar ki tarah

    KHayal-e-ghair nikalta nahin mere dil se

    kisi ke ghar mein ye baiTha hai apne ghar ki tarah

    ThiThak gaya main use apne samne pa kar

    mujhe laga wo guzargah-e-pur-KHatar ki tarah

    sukun ke sath thakan bhi hai us ki yaadon mein

    guzishta umr hai bhule hue safar ki tarah

    pas-e-ada-e-nazar chhup gai hai tariki

    wo be-naqab hua awwalin sahar ki tarah

    jo mere samne muddat ke baad aaya tha

    guzar gaya hai uchaTti hui nazar ki tarah

    Dhale hain in mein meri zindagi ke sham-o-sahar

    hain mere sher hikayat-e-muKHtasar ki tarah

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 726)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now