kai din se baDi udasi hai
ka.ī din se baḌī udāsī hai
baat kuchh bhī nahīñ zarā sī hai
kahīñ Thahre to kuchh pata bhī chale
ye nadī ḳhud meñ kitnī pyāsī hai
kaisī aa.ī hai rut daraḳhtoñ par
be-libāsī hī be-libāsī hai
ik parinda hai āsmānoñ meñ
aur havāoñ meñ bad-havāsī hai
āñsuoñ se mire na tar hogī
is qadar ye zamīn pyāsī hai
aaj to kal sī koī baat nahīñ
aaj kis baat kī udāsī hai
kai din se baDi udasi hai
baat kuchh bhi nahin zara si hai
kahin Thahre to kuchh pata bhi chale
ye nadi KHud mein kitni pyasi hai
kaisi aai hai rut daraKHton par
be-libasi hi be-libasi hai
ek parinda hai aasmanon mein
aur hawaon mein bad-hawasi hai
aansuon se mere na tar hogi
is qadar ye zamin pyasi hai
aaj to kal si koi baat nahin
aaj kis baat ki udasi hai
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 54)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.