kai dukh dosti ke nam pate ja rahe the
ka.ī dukh dostī ke naam paate jā rahe the
hañsī meñ dil pe vo bāteñ lagāte jā rahe the
jo ḳhud ko dost kah ke vaar karte the barābar
vo merī sādgī par muskurāte jā rahe the
charāġh-e-rahguzar ko bhī havā se ḳhud bachā kar
havā kā ruḳh badalne par bujhāte jā rahe the
jo rahzan the maiñ un ko hī masīhā jaan baiThā
vo apnī chaal meñ ham ko phañsāte jā rahe the
jafā kā hukm thā yā dostī kā kuchh taqāzā
vo mere zaḳhm par vā'de sajāte jā rahe the
maiñ jis ko mo'tabar samjhā thā apnī zindagī meñ
vahī qadmoñ tale mujh ko bichhāte jā rahe the
raqīboñ kī qasam thī yā koī majbūriyāñ thiiñ
vo har ilzām mere sar biThāte jā rahe the
kai dukh dosti ke nam pate ja rahe the
hansi mein dil pe wo baaten lagate ja rahe the
jo KHud ko dost kah ke war karte the barabar
wo meri sadgi par muskuraate ja rahe the
charagh-e-rahguzar ko bhi hawa se KHud bacha kar
hawa ka ruKH badalne par bujhate ja rahe the
jo rahzan the main un ko hi masiha jaan baiTha
wo apni chaal mein hum ko phansate ja rahe the
jafa ka hukm tha ya dosti ka kuchh taqaza
wo mere zaKHm par wa'de sajate ja rahe the
main jis ko mo'tabar samjha tha apni zindagi mein
wahi qadmon tale mujh ko bichhate ja rahe the
raqibon ki qasam thi ya koi majburiyan thin
wo har ilzam mere sar biThate ja rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.