kaise bhala milegi is aajizi se fursat
kaise bhalā milegī is 'ājizī se fursat
miltī nahīñ hai tum ko jab 'āshiqī se fursat
ġham pahlī dil-lagī kā maiñ sah rahā huuñ ab tak
rab jaane kab milegī is āḳhirī se fursat
us shaḳhs ko bhulānā āsān hai bahut bas
lenī paḌegī mujh ko is zindagī se fursat
ḳhvāhish meñ tīrgī kī jo phoḌ lī haiñ āñkheñ
ab mil ga.ī hai ham ko bhī raushnī se fursat
ghuT ghuT ke jī rahā huuñ har roz zindagī meñ
yā-rab tū mujh ko de de ab naukrī se fursat
tuḌvā diye the us ne ye haath paañv mere
'hassām' tab milī thī us kī galī se fursat
kaise bhala milegi is 'ajizi se fursat
milti nahin hai tum ko jab 'ashiqi se fursat
gham pahli dil-lagi ka main sah raha hun ab tak
rab jaane kab milegi is aaKHiri se fursat
us shaKHs ko bhulana aasan hai bahut bas
leni paDegi mujh ko is zindagi se fursat
KHwahish mein tirgi ki jo phoD li hain aankhen
ab mil gai hai hum ko bhi raushni se fursat
ghuT ghuT ke ji raha hun har roz zindagi mein
ya-rab tu mujh ko de de ab naukri se fursat
tuDwa diye the us ne ye hath panw mere
'hassam' tab mili thi us ki gali se fursat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.