Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise charagh ab to sharara koi nahin

Ameer Imam

kaise charagh ab to sharara koi nahin

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    kaise charāġh ab to sharāra koī nahīñ

    ḳhush hai havā ki shab meñ hamārā koī nahīñ

    kaisī 'ajīb jang laḌe rahe haiñ ham

    jiitā jise koī nahīñ haarā koī nahīñ

    manzil hai terī shaam ke sāyoñ ke ham-safar

    ye āsmāñ ki jis pe sitāra koī nahīñ

    vo din hai jis ko chhoḌ ke sūraj chalā gayā

    vo raat hai ki jis kināra koī nahīñ

    us sarzamīñ pe ashk bahāne se fā.eda

    jis sarzamīñ ko ḳhuun dhārā koī nahīñ

    ḳhā.if haiñ is maqām pe ye log kis liye

    kyā Dar ki ab mazīd ḳhasāra koī nahīñ

    pūchhā jo maiñ ne koī to hogā mirī taraf

    ik shaḳhs uThā aur uTh ke pukārā koī nahīñ

    kaise charagh ab to sharara koi nahin

    KHush hai hawa ki shab mein hamara koi nahin

    kaisi 'ajib jang laDe ja rahe hain hum

    jita jise koi nahin haara koi nahin

    manzil hai teri sham ke sayon ke ham-safar

    ye aasman ki jis pe sitara koi nahin

    wo din hai jis ko chhoD ke suraj chala gaya

    wo raat hai ki jis ka kinara koi nahin

    us sarzamin pe ashk bahane se faeda

    jis sarzamin ko KHun ka dhaara koi nahin

    KHaif hain is maqam pe ye log kis liye

    kya Dar ki ab mazid KHasara koi nahin

    puchha jo main ne koi to hoga meri taraf

    ek shaKHs uTha aur uTh ke pukara koi nahin

    Source:

    Subh Bakhair Zindagi (Pg. 28)

    • Author: Ameer Imam
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now