kaisi haqiqat aur ye kaisa majaz hai
kaisī haqīqat aur ye kaisā majāz hai
parde meñ aa.ine ke ḳhud ā.īna-sāz hai
ḳhāliq se ḳhalq hai ki hai ḳhāliq hī ḳhalq ḳhud
parde meñ raaz hai ki ye pardā hī raaz hai
phañs kar qafas meñ zaat ke rotā hai zār-zār
muTThī meñ naunihāl kī hastī kā raaz hai
zāhid ḳhudā mile na rukū’-o-sujūd se
varzish bhale hī ḳhuub ye terī namāz hai
rahmat na ho ḳharīd kabhī pārsā.ī se
kis darja nā-murād tū ai pāk-bāz hai
nāla-e-dil hai jis ko tū samjhe sadā-e-sāz
kab dard-e-nau ko samjhā tū ai nai-navāz hai
haq to misāl-e-ā.ina hotā hai be-zabāñ
bātil ke paas goyā zabān-e-darāz hai
har harf gā rahā hai tarannum meñ jhuum kar
barbat hai ye koī ki 'sadā' kī bayāz hai
kaisi haqiqat aur ye kaisa majaz hai
parde mein aaine ke KHud aaina-saz hai
KHaliq se KHalq hai ki hai KHaliq hi KHalq KHud
parde mein raaz hai ki ye parda hi raaz hai
phans kar qafas mein zat ke rota hai zar-zar
muTThi mein naunihaal ki hasti ka raaz hai
zahid KHuda mile na ruku’-o-sujud se
warzish bhale hi KHub ye teri namaz hai
rahmat na ho KHarid kabhi parsai se
kis darja na-murad tu ai pak-baz hai
nala-e-dil hai jis ko tu samjhe sada-e-saz
kab dard-e-nau ko samjha tu ai nai-nawaz hai
haq to misal-e-aina hota hai be-zaban
baatil ke pas goya zaban-e-daraaz hai
har harf ga raha hai tarannum mein jhum kar
barbat hai ye koi ki 'sada' ki bayaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.