Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaisi nazron se takte ho tum bhi na

Hina Ali

kaisi nazron se takte ho tum bhi na

Hina Ali

MORE BYHina Ali

    kaisī nazroñ se takte ho tum bhī

    phir anjān se ban jaate ho tum bhī

    vasl ḳhvāhish se labrez tumhārā dil

    phir bhī jaane kahte ho tum bhī

    jazboñ tūfān chhupā hai siine meñ

    lekin phir bhī chup rahte ho tum bhī

    dil baat laboñ par le aate ho tum

    lekin baat badal dete ho tum bhī

    shā.era hone par tum mere ḳhush nahīñ par

    dil dil meñ ḳhush hote ho tum bhī

    jaane vaalā aa nahīñ saktā pata bhī hai

    phir bhī rasta dekh rahe ho tum bhī

    andar pighlāv aañkh se bah niklā

    lekin patthar bane hue ho tum bhī

    kaisi nazron se takte ho tum bhi na

    phir anjaan se ban jate ho tum bhi na

    wasl ki KHwahish se labrez tumhaara dil

    phir bhi jaane ka kahte ho tum bhi na

    jazbon ka tufan chhupa hai sine mein

    lekin phir bhi chup rahte ho tum bhi na

    dil ki baat labon par le aate ho tum

    lekin baat badal dete ho tum bhi na

    shaera hone par tum mere KHush nahin par

    dil hi dil mein KHush hote ho tum bhi na

    jaane wala aa nahin sakta pata bhi hai

    phir bhi rasta dekh rahe ho tum bhi na

    andar ka pighlaw aankh se bah nikla

    lekin patthar bane hue ho tum bhi na

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now