kal raat dil mein yaadon ka mela laga raha

Abrar Abid

kal raat dil mein yaadon ka mela laga raha

Abrar Abid

MORE BYAbrar Abid

  kal raat dil meñ yādoñ mela lagā rahā

  maazī ko chashm-e-hāl se maiñ dekhtā rahā

  tere baġhair to na sakte the ham magar

  ġham terā zindagī sahārā banā rahā

  muñh meñ zabāñ na rakhte the terī galī ke log

  maiñ pattharoñ se terā patā pūchhtā rahā

  zindān-e-ehtiyāt meñ guzrī tamām umr

  maiñ jurm-e-āgahī sazā kāTtā rahā

  shal ho gayā vajūd to 'ābid' khulā ye bhed

  maiñ jis ko DhūñDhtā thā vo mujh maiñ chhupā rahā

  kal raat dil mein yaadon ka mela laga raha

  mazi ko chashm-e-haal se main dekhta raha

  tere baghair ji to na sakte the hum magar

  gham tera zindagi ka sahaara bana raha

  munh mein zaban na rakhte the teri gali ke log

  main pattharon se tera pata puchhta raha

  zindan-e-ehtiyat mein guzri tamam umr

  main jurm-e-agahi ki saza kaTta raha

  shal ho gaya wajud to 'abid' khula ye bhed

  main jis ko DhunDhta tha wo mujh main chhupa raha

  Source :
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY