kal zindagi ke KHwab ki tabir mil gai

Basheer Ahmad Shad

kal zindagi ke KHwab ki tabir mil gai

Basheer Ahmad Shad

MORE BYBasheer Ahmad Shad

  kal zindagī ke ḳhvāb ta.abīr mil ga.ī

  thī jis mujh ko justujū vo hiir mil ga.ī

  apnī duā pe thā mujhe kuchh is qadar yaqīn

  māñgī ḳhudā se jo vahī jāgīr mil ga.ī

  jo log be-vaqār se phirte the shahr meñ

  mere sabab se un ko bhī tauqīr mil ga.ī

  barseñ vafā ke chāñd kirneñ kuchh is tarah

  be-nūr āñganoñ ko bhī tanvīr mil ga.ī

  qirtās-e-zindagānī pe dekhā jo ġhaur se

  tujh jaisī hū-ba-hū koī tasvīr mil ga.ī

  hāthoñ ulTī sīdhī lakīroñ ko dekh kar

  vo shoḳh kah rahā thā ki tahrīr mil ga.ī

  kal zindagi ke KHwab ki tabir mil gai

  thi jis ki mujh ko justuju wo hir mil gai

  apni dua pe tha mujhe kuchh is qadar yaqin

  mangi KHuda se jo wahi jagir mil gai

  jo log be-waqar se phirte the shahr mein

  mere sabab se un ko bhi tauqir mil gai

  barsen wafa ke chand ki kirnen kuchh is tarah

  be-nur aanganon ko bhi tanwir mil gai

  qirtas-e-zindagani pe dekha jo ghaur se

  tujh jaisi hu-ba-hu koi taswir mil gai

  hathon ki ulTi sidhi lakiron ko dekh kar

  wo shoKH kah raha tha ki tahrir mil gai

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY