kapas chunte hue hath kitne pyare lage
kapās chunte hue haath kitne pyāre lage
mujhe zamīñ se mohabbat ke isti'āre lage
tamām raat jo laḌte rahe the tūfāñ se
'ajīb log the thak haar kar kināre lage
mujhe to baaġh bhī mahkā huā alaav lagā
mujhe to phuul bhī Thahre hue sharāre lage
vo ham na the jise āñkheñ nichoḌ kar dī thiiñ
vo tum na the jise ham apnī jaañ se pyāre lage
us ek raat qayāmat kī bārisheñ TūTīñ
mirī shikasta havelī pe jab puchāre lage
kapas chunte hue hath kitne pyare lage
mujhe zamin se mohabbat ke isti'are lage
tamam raat jo laDte rahe the tufan se
'ajib log the thak haar kar kinare lage
mujhe to bagh bhi mahka hua alaw laga
mujhe to phul bhi Thahre hue sharare lage
wo hum na the jise aankhen nichoD kar di thin
wo tum na the jise hum apni jaan se pyare lage
us ek raat qayamat ki barishen TuTin
meri shikasta haweli pe jab puchaare lage
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 58)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.