kar gae the mil ke wo wade bahut
kar ga.e the mil ke vo vā'de bahut
chashm-e-vā meñ juḌ ga.e naqshe bahut
tū-tū maiñ-maiñ tarz-e-darveshī nahīñ
varna un se the gile-shikve bahut
thiiñ hazāroñ bāteñ dil meñ an-kahī
kuchh na kah paayā go vo Thahre bahut
hai udāsī dard-e-dil afsurdagī
dil-lagī meñ yuuñ mile tohfe bahut
hai hujūm-e-yād-hā-e-sarḳhushī
bazm-e-dil meñ phir rahe chehre bahut
thā mirī qismat meñ dīd-e-yār kam
saarī duniyā meñ rahe charche bahut
muḳhtasar sī zindagī meñ dekh lī
kaise kaise ham-nashīñ badle bahut
naqsh-e-kun kī be-sabātī dekh kar
dil hī dil meñ aaj ham ro.e bahut
tishnagī me'rāj hai 'āhan' batā
āgahī kī raah meñ tarse bahut
kar gae the mil ke wo wa'de bahut
chashm-e-wa mein juD gae naqshe bahut
tu-tu main-main tarz-e-darweshi nahin
warna un se the gile-shikwe bahut
thin hazaron baaten dil mein an-kahi
kuchh na kah paya go wo Thahre bahut
hai udasi dard-e-dil afsurdagi
dil-lagi mein yun mile tohfe bahut
hai hujum-e-yaad-ha-e-sarKHushi
bazm-e-dil mein phir rahe chehre bahut
tha meri qismat mein did-e-yar kam
sari duniya mein rahe charche bahut
muKHtasar si zindagi mein dekh li
kaise kaise ham-nashin badle bahut
naqsh-e-kun ki be-sabaati dekh kar
dil hi dil mein aaj hum roe bahut
tishnagi me'raj hai 'ahan' bata
aagahi ki rah mein tarse bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.