aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar rahe hain aap apni justuju main aur hawa

Fareed Parbati

kar rahe hain aap apni justuju main aur hawa

Fareed Parbati

MORE BYFareed Parbati

    kar rahe haiñ aap apnī justujū maiñ aur havā

    ek-jā ho jā.eñge shāyad kabhū maiñ aur havā

    aa.egī fursat mayassar donoñ ko shāyad kabhī

    kar leñge der tak phir guftugū maiñ aur havā

    bhar ga.ī hai dhund zehnoñ meñ dayār-e-ġhair

    be-sabab phirte nahīñ haiñ kū-bakū maiñ aur havā

    ek rahtā kahāñ hai merā aur us mizāj

    haiñ mulā.em aur kabhī haiñ tund-ḳhud maiñ aur havā

    kyā batā.ūñ kis tarah sīñchī hai ham ne shāḳh-shāḳh

    pesh aksar kar ga.e apnā lahū maiñ aur havā

    jā-ba-jā sargoshiyāñ karne lagīñ parchhā.iyāñ

    ghar se bāhar jab kabhī nikle haiñ maiñ aur havā

    dil laraz uThtā hai aksar is gumāñ par be-tarah

    pesh ho jā.eñge ik din rū-ba-rū maiñ aur havā

    be-ḳhabar apne se ho kar lā.eñge apnī ḳhabar

    is tarah se tai kareñge dasht-e-hū maiñ aur havā

    baañT kar aapas meñ kūche aur galiyāñ shahr

    toḌ deñge nafratoñ har subū maiñ aur havā

    sochtā huuñ der se lā-hāsilī ret par

    karte haiñ har ḳhvāb kyoñ nazr-e-numū maiñ aur havā

    infirādī soch ham ko kar ga.ī tanhā 'farīd'

    ho ga.e begāna-e-har-rang-o-bū maiñ aur havā

    kar rahe hain aap apni justuju main aur hawa

    ek-ja ho jaenge shayad kabhu main aur hawa

    aaegi fursat mayassar donon ko shayad kabhi

    kar hi lenge der tak phir guftugu main aur hawa

    bhar gai hai dhund zehnon mein dayar-e-ghair ki

    be-sabab phirte nahin hain ku-baku main aur hawa

    ek sa rahta kahan hai mera aur us ka mizaj

    hain mulaem aur kabhi hain tund-KHud main aur hawa

    kya bataun kis tarah sinchi hai hum ne shaKH-shaKH

    pesh aksar kar gae apna lahu main aur hawa

    ja-ba-ja sargoshiyan karne lagin parchhaiyan

    ghar se bahar jab kabhi nikle hain tu main aur hawa

    dil laraz uThta hai aksar is guman par be-tarah

    pesh ho jaenge ek din ru-ba-ru main aur hawa

    be-KHabar apne se ho kar laenge apni KHabar

    is tarah se tai karenge dasht-e-hu main aur hawa

    banT kar aapas mein kuche aur galiyan shahr ki

    toD denge nafraton ka har subu main aur hawa

    sochta hun der se la-hasili ki ret par

    karte hain har KHwab kyon nazr-e-numu main aur hawa

    infiradi soch hum ko kar gai tanha 'farid'

    ho gae begana-e-har-rang-o-bu main aur hawa

    Source:

    Shair (Pg. 45)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now