Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karta main ab kisi se koi iltimas kya

Athar Nadir

karta main ab kisi se koi iltimas kya

Athar Nadir

MORE BYAthar Nadir

    kartā maiñ ab kisī se koī iltimās kyā

    marne ġham nahīñ hai to jiine aas kyā

    jab tujh ko mujh se duur rahnā pasand hai

    saa.e tarah rahtā hai phir ās-pās kyā

    tujh se bichhaḌ ke ham to yahī sochte rahe

    ye gardish-e-hayāt na aa.egī raas kyā

    ab tark-e-dostī taqāzā hai vaqt

    terā qayās gar hai yahī to qayās kyā

    maanā ki terā milnā hai mushkil bahut magar

    har lamha TuuT jaa.e ab aisī bhī aas kyā

    ik umr ho ga.ī hai yahī sochte hue

    apnī kitāb-e-zīst hai iqtibās kyā

    'nādir' kahīñ to sair ko bāhar bhī jā.iye

    har-dam kisī yaad meñ rahnā udaas kyā

    karta main ab kisi se koi iltimas kya

    marne ka gham nahin hai to jine ki aas kya

    jab tujh ko mujh se dur hi rahna pasand hai

    sae ki tarah rahta hai phir aas-pas kya

    tujh se bichhaD ke hum to yahi sochte rahe

    ye gardish-e-hayat na aaegi ras kya

    ab tark-e-dosti hi taqaza hai waqt ka

    tera qayas gar hai yahi to qayas kya

    mana ki tera milna hai mushkil bahut magar

    har lamha TuT jae ab aisi bhi aas kya

    ek umr ho gai hai yahi sochte hue

    apni kitab-e-zist ka hai iqtibas kya

    'nadir' kahin to sair ko bahar bhi jaiye

    har-dam kisi ki yaad mein rahna udas kya

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 566)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now