kashish zamin ki jaegi raegan kab tak
kashish zamīn kī jā.egī rā.egāñ kab tak
nahīñ giregā bulandī se āsmāñ kab tak
savāl ye hai ki ye tishna-kām dauḌeñge
talāsh-e-āb meñ Tīloñ ke darmiyāñ kab tak
ḳhayāl ne kabhī 'uryāñ nahīñ kiyā hai tujhe
gurez aur karegā mirā gumāñ kab tak
is ek ḳhauf ne marne nahīñ diyā hai mujhe
ki raftagāñ meñ rahegā mirā nishāñ kab tak
milā to mujh se kiye us ne be-shumār savāl
har ek baat meñ kyoñ kis liye kahāñ kab tak
jo lafz lafz mujhe nochtī hai andar se
sunā.ī jā.egī 'āsim' vo dāstāñ kab tak
kashish zamin ki jaegi raegan kab tak
nahin girega bulandi se aasman kab tak
sawal ye hai ki ye tishna-kaam dauDenge
talash-e-ab mein Tilon ke darmiyan kab tak
KHayal ne kabhi 'uryan nahin kiya hai tujhe
gurez aur karega mera guman kab tak
is ek KHauf ne marne nahin diya hai mujhe
ki raftagan mein rahega mera nishan kab tak
mila to mujh se kiye us ne be-shumar sawal
har ek baat mein kyon kis liye kahan kab tak
jo lafz lafz mujhe nochti hai andar se
sunai jaegi 'asim' wo dastan kab tak
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 48)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.